KHud ko sanwar lene ki hajat use bhi thi

khud ko sanwar lene ki hajat use bhi thi
shayad ki rang-o-bu ki zarurat use bhi thi

majburiyon ne kar diya paband kuchh use
rasm-e-wafa nibhane ki chahat use bhi thi

dil tod kar hamara chala to gaya magar
nakaam hasraton ki nadamat use bhi thi

yun pher li nigah ki pahchanta na ho
kitni shadid mujh se rifaqat use bhi thi

kis ke khayal-o-khwab ki dahliz par sada
har shab guzarne ki ijazat use bhi thi

kirdar ki bulandi ka wo bhi hai mo'tarif
mana ki teri zat se wahshat use bhi thi

garche ana-parast wo 'ajmal' bala ka hai
bebakiyon pe meri to hairat use bhi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close