pabandi-e-izhaar ki lanat hi alag hai

pabandi-e-izhaar ki lanat hi alag hai
khamosh zabanon ki hikayat hi alag hai

jo tum ne sitam dhae hain wo aur hain lekin
is dard-e-judai ki aziyyat hi alag hai

tum ne to adaon se bahut qatl kiye hain
andaz-e-taghaful ki qayamat hi alag hai

honton se to hote hain ada harf-e-mohabbat
aankhon ke ishaare ki wazahat hi alag hai

ta-hadd-e-nazar did ke qabil hain nazare
lekin tere didar ki hasrat hi alag hai

ishrat-kada-e-dahr mein kya kya nahin lekin
tere lab-o-rukhsar ki jannat hi alag hai

padhte hain bade shauq se arbab-e-adab bhi
'ajmal' tere ashaar ki nudrat hi alag hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close