khud ko sharminda-e-dua na kare hai bashar wo jo iltija na kare kash wo dil mein ho mere paiwast un ka tir-e-nazar khata na kare ho ke majbur hai bashar mein ye shar gar mile ikhtiyar kya na kare lutf aa jae dil jo koi kaam aap ki yaad ke siwa na kare dil mein jab tak na ho koi tahrik sher shair kabhi kaha na kare yaad-e-haq kya karoge piri mein kya khabar umr hi wafa na kare jo mohabbat mein jaan de na sake wo mohabbat ka hausla na kare hai khuda khush usi se ai 'aqil' jo kisi ka kabhi bura na kare