jin ko har rang mein jine ka kamal aata hai un ke aaina-e-dil mein kahin baal aata hai kaun sunta hai sada tute dilon ki ai dil gham-nasibon ka bhala kis ko khayal aata hai yun to mansur bane phirte hain kuchh log magar un ke hosh udte hain jab sar ka sawal aata hai hum ki aazad hain khush-bash parindon ki tarah kuchh bhi hota rahe kab dil mein malal aata hai dil mein jal uthti hain sau shamen hasin yaadon ki jab hamein ahd-e-jawani ka khayal aata hai kyon unhen khabt mohabbat ka hai jin ke aage jine marne ka mohabbat mein sawal aata hai jis ke muhtaj shahanshah bhi hain ai 'aqil' hum faqiron ko ek aisa bhi kamal aata hai