khud ko tere mear se ghat kar nahin dekha jo chhod gaya us ko palat kar nahin dekha meri tarah tu ne shab-e-hijran nahin kati meri tarah is tegh pe kat kar nahin dekha tu dashna-e-nafrat hi ko lahraata raha hai tu ne kabhi dushman se lipat kar nahin dekha the kucha-e-jaanan se pare bhi kai manzar dil ne kabhi is rah se hat kar nahin dekha ab yaad nahin mujh ko 'faraaz' apna bhi paikar jis roz se bikhra hun simat kar nahin dekha