utha kar naz se burqa dikha kar ru-e-zeba ko tamasha kar diya dilbar ne mujh mahw-e-tamasha ko munasib thi jo ja bas us mein rakkhe tohfa-e-dil-bar nigah mein yas ko hasrat ko dil mein sar mein sauda ko dikhati hai mere ashkon ki tughyani mujhe kya kuchh habab-e-dil kabhi dekha kabhi amwaj-e-dariya ko khayal-e-ru-e-zeba mein to daman-e-sahar dekha shab-e-furqat tasawwur kar liya zulf-e-chalipa ko mariz-e-hijr tera mehman hai ab koi dam ka dikhae waqt-e-akhir nabz apni kya masiha ko dil-e-bimar mein ghar kar liya hai dard ne apna ilahi main rakhun kis ja in arman-o-tamanna ko tumhein to ai sanam manzur apni parda-poshi thi dikhai tur-e-sina par tajalli kis ne musa ko khajil kaisa kiya hai dida-o-dil ne fidai ke subu ko jam ko mina ko aur saghar ko sahba ko charagh-e-ishq raushan kar diya farhad-o-majnun ne kiya aabaad us ne koh ko aur us ne sahra ko raha viran baad-az-marg-e-hafiz ek muddat tak kiya aabaad ja kar hum ne gul-gasht-e-masla ko mere pahlu ko musa dekh kar hairat se kahte hain chhupaya kis tarah dil mein 'jamila' is tajalla ko