khud koi chaak-gareban hai rag-e-jaan ke qarib ai junun hashr ka saman hai rag-e-jaan ke qarib manzil-e-dil se to guzre hue din bit gae karwan-e-gham-e-jaanan hai rag-e-jaan ke qarib dar-ba-dar kis liye aawara ho sar-gashta ho dosto kucha-e-jaanan hai rag-e-jaan ke qarib kya kahen ab dil-e-betab ka aalam yaro muztarib jaise rag-e-jaan hai rag-e-jaan ke qarib kyun na kanton ki taraf jaen tere diwane khalish-e-jumbish-e-mizhgan hai rag-e-jaan ke qarib shabnam-e-ashk gira deta hai zakhm-e-jaan par koi hamdard sa insan hai rag-e-jaan ke qarib kis ke gae hue naghmat sunata hun 'shamim' kaun hai wo jo ghazal-khwan hai rag-e-jaan ke qarib