khud mein jhanka to ajab manzar nazar aaya mujhe apne andar bhi ajaib ghar nazar aaya mujhe mujh se us ka ham-safar banna bhi kab dekha gaya wo bhi apni rah ka patthar nazar aaya mujhe hadson ne us ke panw se bhi dharti khinch li wo bhi sail-e-waqt ki zad par nazar aaya mujhe mehrban koi sharik-e-qaid-e-tanhai na tha apne zanu par hi apna sar nazar aaya mujhe dil se thi ummid khwahish ke safar par sath de par ye shahin bhi shikasta-par nazar aaya mujhe ek ek lamhe ne sau sau shoabde dikhlae hain sach to ye hai waqt jadugar nazar aaya mujhe itni himmat bhi na thi badh kar bula leta 'riyaz' yun to wo bazar mein akasr nazar aaya mujhe