kuchh na kuchh ahd-e-mohabbat ka nishan rah jae aag bujhti hai to bujh jae dhuan rah jae dasht-dar-dasht ude mera ghubar-e-hasti aab-bar-ab mera nam-o-nishan rah jae muntazir kaun hai kis ka ye use kya malum us ki manzil hai wahi jo bhi jahan rah jae yun to kahne ko bahut kuchh tha ghazal mein lekin lutf ki baat wahi hai jo nihan rah jae