khud mein utre aur tughyani se bahar aa gae aa ke gahrai mein hum pani se bahar aa gae us ki raunaq mein bahut sunsan se lagte the hum shahar se nikle to virani se bahar aa gae lafz wo jin ko zaban tak lane ki himmat na thi aakhir yak din meri peshani se bahar aa gae dam-ba-khud us husn ko hi dekhte rahte the hum yun barat tuta ki hairani se bahar aa gae aastin mein pal rahe the lekin ek din yun hua sanp aapas ki pareshani se bahar aa gae wo talluq hum ko qaid-e-khwab jaisa tha 'zahir' khul gain aankhen to aasani se bahar aa gae