milti rahi qalam ko saadat ki raushni dar aai harf harf mein midhat ki raushni aane se aap ke huin kafur zulmaten aalam mein phaili aap ki rahmat ki raushni ghaar-e-hira mein le ke jo aae the jibrail sachcha kalam nur-e-hidayat ki raushni ta-haal ho rahi hai wo barsat nur ki lamhe ne pai thi jo ziyarat ki raushni isar-o-darguzar ka sabaq aap ne diya phailai aap ne hai ukhuwwat ki raushni aurat ko bakhshi aap ne aa kar hayat-e-nau us ko mili hai izzat-o-azmat ki raushni subh-o-masa hai 'naz' ki bas aarzu yahi meri nawah-e-jaan mein ho sirat ki raushni