KHud nawed-e-zindagi lai qaza mere liye

khud nawed-e-zindagi lai qaza mere liye
sham-e-kushta hun fana mein hai baqa mere liye

zindagi mein to na ek dam khush kiya hans bol kar
aaj kyun rote hain mere aashna mere liye

kunj-e-uzlat mein misal-e-asiya hun gosha-gir
rizq pahunchata hai ghar baithe khuda mere liye

tu sarapa ajr ai zahid main sar-ta-pa gunah
bagh-e-jannat teri khatir karbala mere liye

nam raushan kar ke kyunkar bujh na jata misl-e-shama
na-muwafiq thi zamane ki hawa mere liye

har nafas aaina-e-dil se ye aati hai sada
khak tu ho ja to hasil ho jila mere liye

khak se hai khak ko ulfat tadapta hun 'anis'
karbala ke waste main karbala mere liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close