KHud par jo etimad tha jhuTa nikal gaya

khud par jo e'timad tha jhuta nikal gaya
dariya mere qayas se gahra nikal gaya
shayad bata diya tha kisi ne mera pata
milon meri talash mein rasta nikal gaya
suraj ghurub hote hi tanha hue shajar
jaane kahan andheron mein saya nikal gaya
daman ke chaak sine ko baithe hain jab bhi hum
kyun bar bar sui se dhaga nikal gaya
kuchh aur badh gai hain shajar ki udasiyan
shakhon se aaj phir koi patta nikal gaya
pahle to bas lahu pe ye ilzam tha magar
ab aansuon ka rang bhi kachcha nikal gaya
ab to safar ka koi bhi maqsad nahin raha
ye kya hua ki panw ka kanta nikal gaya
ye ahl-e-bazm kis liye khamosh ho gae
tauba meri zaban se ye kya nikal gaya
This is a great jhuta wada shayari in hindi. True lovers of milan shayari sms will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore odia dhaga shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close