khud meri aankhon se ojhal meri hasti ho gai aaina to saf hai taswir dhundli ho gai sans leta hun to chubhti hain badan mein haddiyan ruh bhi shayad meri ab mujh se baghi ho gai fash kar din main ne khud andar ki be-tartibiyan zindagi aaraishon mein aur nangi ho gai pyar karti hain mere raston se kya kya bandishen tod di zanjir to diwar unchi ho gai meri jaanib aae pas-manzar se patthar be-shumar rang-e-duniya dekh kar binai zakhmi ho gai pad gaya parda samaat par teri aawaz ka ek aahat kitne hangamon pe hawi ho gai kar gaya hai mubtala-e-karb aur ek saneha aur kuchh din zinda rahne ki talafi ho gai khwahishon ki aag bhi bhadkaegi ab kya mujhe rakh bhi meri 'muzaffar' ab to thandi ho gai