khud pe guzre azab likhti hun aaj kar ke hisab likhti hun bahr-e-dil mein hai ek sannata aur main iztirab likhti hun khud ko zarre se mukhtasar kar ke aap ko aaftab likhti hun jab koi phul muskuraata hai us ko apna shabab likhti hun naz kar kar ke aaj-kal khud ko aap ka intikhab likhti hun meri achchhai ki sanad ye hai khud ko sab se kharab likhti hun un ko koi 'suman' likhe kuchh bhi main khuda ki kitab likhti hun