khud pe jab dasht ki wahshat ko musallat karunga is qadar khak udaunga qayamat karunga hijr ki raat meri jaan ko aai hui hai bach gaya to main mohabbat ki mazammat karunga jis ke sae mein tujhe pahle pahal dekha tha main isi ped ke niche teri bai'at karunga ab tere raaz sambhaale nahin jate mujh se main kisi roz amanat mein khayanat karunga teri yaadon ne agar hath bataya mera apne tute hue khwabon ki marammat karunga lailatul-qadr guzarunga kisi jangal mein nur barsega darakhton ki imamat karunga