qadam rakhta hai jab raston pe yar aahista aahista to chhat jata hai sab gard-o-ghubar aahista aahista bhari aankhon se ho ke dil mein jaana sahal thodi hai chadhe dariyaon ko karte hain par aahista aahista nazar aata hai to yun dekhta jata hun main us ko ki chal padta hai jaise karobar aahista aahista udhar kuchh aurten darwazon par daudi hui aain idhar ghodon se utre shahsawar aahista aahista kisi din karkhana-e-ghazal mein kaam niklega palat aaenge sab be-rozgar aahista aahista tera paikar khuda ne bhi to fursat mein banaya tha banaega tere zewar sunar aahista aahista meri gosha-nashini ek din bazar dekhegi zarurat kar rahi hai be-qarar aahista aahista