khud se apna aap milaya ja sakta hai tanhai ka hath bataya ja sakta hai khamoshi jab hamla-awar hona chahe chaurahe par shor machaya ja sakta hai hairani ka qarz chukana pad jae to aankhon ka ehsan uthaya ja sakta hai dharti par kuchh sabz ruton ka bhes badal kar charwahe ka khwab churaya ja sakta hai un ki tera zulfon se tashbihen de kar shab ko rah-e-rast pe laya ja sakta hai na-mumkin hai pani par taswir banana lekin us par sher banaya ja sakta hai bhula ja sakta hai khud ko barson barson roz kisi ko yaad bhi aaya ja sakta hai