wo pas aae to dil be-qarar hone laga sukun-e-dil ka mere intishaar hone laga hai raaz kya ai mohabbat bata de hum ko zara qarib aane pe kyun intizar hone laga zara samajhne de saqi ye majra kya hai ki jam pine se pahle khumar hone laga phir aasman-e-muqaddar pe koi halchal hai ki na-gahan mere dil pe ghubar hone laga kabhi wo aa bhi sakenge hamein yaqin to na tha mile jo khwab mein kuchh e'tibar hone laga kiya jo yaad unhen aa gae tasawwur mein hai sher kuchh to hamein ikhtiyar hone laga bahaar hai ki khizan 'shauq' hum yahi jaane ki un ke aane se rang-o-bahaar hone laga