KHud se rahta hai iKHtilaf mujhe

khud se rahta hai ikhtilaf mujhe
main bhi karta nahin muaf mujhe

tum mere samne nahin aana
kah diya main ne saf saf mujhe

ye sarapa ye khal-o-khad tere
kar rahe hain mere khilaf mujhe

lams bhi chahta hun hiddat bhi
dijiye jism ka lihaf mujhe

tum faqat jism dhanp sakte ho
chahiye ruh ka ghilaf mujhe

kyunki izhaar-e-shauq kar baitha
das raha hai wo e'tiraf mujhe

ek duniya hai naf ke upar
ek duniya hai zer-e-naf mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close