khud se rishte rahe kahan un ke gham to jaane the raegan un ke mast un ko guman mein rahne de khana-barbaad hain guman un ke yar sukh nind ho nasib un ko dukh ye hai dukh hain be-aman un ke kitni sarsabz thi zamin un ki kitne nile the aasman un ke nauha-khwani hai kya zarur unhen un ke naghme hain nauha-khwan un ke