ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai

ye ek shajar ki jis pe na kanta na phul hai
sae mein us ke baith ke rona fuzul hai

raaton se raushni ki talab hae sadgi
khwabon mein us ki did ki khu kaisi bhul hai

hai un ke dam-qadam hi se kuchh aabru-e-zist
daman mein jin ke dasht-e-tamanna ki dhul hai

suraj ka qahr sirf barahna saron pe hai
puchho hawas-parast se wo kyun malul hai

aao hawa ke hath ki talwar chum len
ab buz-dilon ki fauj se ladna fuzul hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close