khud-shanasi hi khud-parasti hai ek muamma bashar ki hasti hai jaan dete hain log baatil par kaisa andaz-e-haq-parasti hai aaj mar-mar ke ji rahe hain log kitna dilchasp khwab-e-hasti hai muflisi badh gai hai is darja maut ko zindagi tarasti hai ab ye haalat hui hai ai 'iqbaal' zindagi maut ko tarasti hai