khud tamasha ban gai chashm-e-tamashai ki bas sang-e-dar par aaj ki hai wo jabin-sai ki bas tod dala main ne aakhir us ka kaj-aks aaina warna wo yun tha ajab mahw-e-tamashai ki bas aisa lagta hai ki bazm-e-naz mein tanha hun main chashm-e-bina ho to hai wo bazm-arai ki bas zarre zarre ki zaban par naghma-e-jaan-soz hai dasht-zar-e-gham ne aisi khak chhanwai ki bas ajnabi lagne laga hai subh-e-khandan ka jamal yun hui rukhsat meri aankhon ki binai ki bas dur se jab sahil-e-ummid-o-yas aaya nazar dafatan ek mauj kashti se wo takrai ki bas is qadar haibat-zada tha ahd-e-tark-e-dosti awwal awwal to tabiat aisi ghabrai ki bas taer-e-sidra bhi khaif tha meri parwaz se aa ke manzil ke qarib ek chot wo khai ki bas aaj tak ubhri nahin hai kashti-e-umr-e-rawan aab-ju-e-dard mein thi aisi gahrai ki bas main ki khwab-e-naz mein aasuda shab hone ko tha sur-e-israfil ki aisi sada aai ki bas rafta rafta jal ke khakistar hui aqlim-jaan chhat gae baadal magar phir dhup wo chhai ki bas uqda-e-hairat 'muzaffar' jis ghadi khulne ko tha zindagi ne kan mein wo baat batlai ki bas