jurm tera na sahi meri saza khub sahi aaina-khana-e-hasti ki ada khub sahi pas se to teri aankhon ke bhanwar le dube dur se jalwa-e-girdab-e-bala khub sahi kaisa sawan hai ki jo khul ke barasta hi nahin dekhne mein teri zulfon ki ghata khub sahi ghar mein jo baat hai wo tere shabistan mein kahan jaan-e-yaran tere kuche ki hawa khub sahi zauq-e-jalwat mein tab-o-tab-e-haqiqat bhi to hai shauq-e-khalwat-kada-e-saz-o-sada khub sahi din ko sahra mein bagulon ka safar bhi dekho subh-dam bagh mein ye raqs-e-saba khub sahi sar-zaminen hain bahut ruh ke patal mein bhi mah-o-mirrikh pe aawaz-e-dara khub sahi dost zindan-e-anasir se rihai malum dasht-e-imkan-e-takhayyul ki faza khub sahi wusaten aur bahut hain gham-e-dauran ke liye qibla-e-jaan ke liye qibla-numa khub sahi khub-tar hai meri tazin se har paikar-e-jaan teri takhliq ka har naqsh-e-baqa khub sahi panw mein apna hi saya hai pareshan 'jamil' sar pe dastar-e-par-o-baal-e-huma khub sahi