khuda ali-gadh ke madrase ko tamam amraaz se shifa de bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade latif o khush-waza chust-o-chaalak o saf-o-pakiza shad-o-khurram tabiaton mein hai un ki jaudat dilon mein un ke hain nek irade kamal mehnat se padh rahe hain kamal ghairat se badh rahe hain sawar mashriq ki rah mein hain to maghribi rah mein piyaade har ek hai un mein ka be-shak aisa ki aap use jaante hain jaisa dikhae mahfil mein qadd-e-rana jo aap aaen to sar jhuka de faqir mangen to saf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha qubul farmaen aap dawat to apna sarmaya kul khila de buton se un ko nahin lagawat mison ki lete nahin wo aahat tamam quwwat hai sarf-e-khwandan nazar ke bhole hain dil ki sade nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai electric light us ko samjhen jo barq-wash koi koi de nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi ye kah ke lete hain sab se chande hamein jo tum do tumhein khuda de unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asal kar-e-aden hai isi si hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge bap dade makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain khabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaisi jade dilon mein un ke hai nur-e-iman qawi nahin hai magar nigahban hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab mita de aakhir ko waz-e-millat numud-e-zati ko gar badha de yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab-e-bari mein ye dua hai ulum-o-hikmat ka dars un ko professor den samajh khuda de