hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi barham hui hai yun bhi tabiat kabhi kabhi ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab milti hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi tere karam se ai alam-e-husn-afrin dil ban gaya hai dost ki khalwat kabhi kabhi josh-e-junun mein dard ki tughyaniyon ke sath ashkon mein dhal gai teri surat kabhi kabhi tere qarib rah ke bhi dil mutmain na tha guzri hai mujh pe ye bhi qayamat kabhi kabhi kuchh apna hosh tha na tumhaara khayal tha yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi ai dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawajud mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi