khuda-e-bartar ne aasman ko zamin par mehrban kiya hai magar mere khwab ke nagar ko charagh ne khush-guman kiya hai suno ki main ne dhari hai sath-e-rawan pe ek dolti imarat aur ek sham-e-tarab ko shahr-e-malal ka pasban kiya hai mujhe yaqin hai ye subh-e-nau bhi mere sitare ka sath degi ki main ne ek ism ki madad se ghubar ko aasman kiya hai ye sach hai meri sada ne raushan kiye hain mehrab par sitare magar meri be-qarar aankhon ne aaine ka ziyan kiya hai nigah-e-nam-nak ko lahu ne kiya hai majbur dekhne par aur ek rabt-e-khafi ko rasm-e-mughairat ne jawan kiya hai kahin nahin hai masafat-e-umr mein kisi khwab ka padaw so main ne is be-kanar sahra pe abr ka saeban kiya hai sitar-e-khwab se bhi badh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne charagh aur aaine ko apne wajud ka raaz-dan kiya hai