KHuda-e-pak abhi itna mehrban to hai

khuda-e-pak abhi itna mehrban to hai
hamare sar ye kirae ka saeban to hai

atak atak ke sahi kuchh to bol leta hun
ki tuti-phuti si meri bhi ek zaban to hai

bacha ke rakkha hai aslaf ki amanat ko
hamare ghar mein buzurgon ka pan-dan to hai

khuda ke bande khudai pe fakhr paida kar
teri zamin na sahi tera aasman to hai

kisi ka jazba-e-ulfat kisi ka josh-e-junun
abhi jawan hua tha abhi jawan to hai

samajh ke is ko huquq-ul-ibaad zinda hun
meri gali mein padosi ka nab-dan to hai

yahin pe baith parinde shikar kar 'hamza'
yahan pe sher nahin sher ka machan to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close