meri jaanib nigah-e-naz kar aahista aahista

meri jaanib nigah-e-naz kar aahista aahista
mere dil ke jazire mein utar aahista aahista

mohabbat donon jaanib hai tafawut sirf itna hai
idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista

teri beti ka qad tere barabar ho gaya shayad
tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista

sahar aai na aae wo sitaro jao so jao
ki ab chalte hain hum bhi apne ghar aahista aahista

jo kal tak meri barbaadi ki qasmen khate phirte the
wahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista

na jaane rah-rawan-e-rah ka ab hashr kya hoga
bhatakte ja rahe hain rahbar aahista aahista

khuda ke waste samjha-bujha kar rok le koi
wo dekho ja rahe hain ruth kar aahista aahista

adawat dil mein rakhna muskura kar guftugu karna
sabhi ko aa gaya hai ye hunar aahista aahista

nimat lun doston ki dosti se pahle ai 'hamza'
to lunga dushmanon ki bhi khabar aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close