khuda jaane kahan hai 'asghar'-e-diwana barson se ki us ko dhundhte hain kaba o but-khana barson se tadapna hai na jalna hai na jal kar khak hona hai ye kyun soi hui hai fitrat-e-parwana barson se koi aisa nahin ya rab ki jo is dard ko samjhe nahin malum kyun khamosh hai diwana barson se kabhi soz-e-tajalli se use nisbat na thi goya padi hai is tarah khakistar-e-parwana barson se tere qurban saqi ab wo mauj-e-zindagi kaisi nahin dekhi ada-e-laghzish-e-mastana barson se meri rindi ajab rindi meri masti ajab masti ki sab tute pade hain shisha o paimana barson se hasinon par na rang aaya na phulon mein bahaar aai nahin aaya jo lab par naghma-e-mastana barson se khuli aankhon se hun husn-e-haqiqat dekhne wala hui lekin na taufiq-e-dar-e-but-khana barson se libas-e-zohad par phir kash nazr-e-atish-e-sahba kahan khoi hui hai jurat-e-rindana barson se jise lena ho aa kar us se ab dars-e-junun le le suna hai hosh mein hai 'asghar'-e-diwana barson se