mamnun hi raha us but-e-kafir ki jafa ka shikwa na kiya dil ne kabhu shukr khuda ka aaza ke tanasub ka na warafta ho itna aankhen hain to rah hairati andaz o ada ka har dam hai hadaf nawak-e-bedad ka teri patthar ka kaleja hai magar ahl-e-wafa ka tabut hi dekha na mera aankh utha kar kya sharm hai kushta hun main us sharm o haya ka pas us ke bana dijo meri aankh bhi naqqash gar khinche hai tu naqsh-e-rukh us hur-liqa ka kis tarah main ab sar pe bhala khak na dalun dekhun hun nishan dar pe teri sad kaf-e-pa ka kis bekasi ki marg hai 'rasikh' ka bhi marna nash us ki pe koi na hua mahw aza ka