khuda kare rahe jari payam-e-yar nisar ki tere baad ye hai teri yaadgar nisar kisi ki bhi nahin sunte hain aaj yar nisar hazar koi pukara kare nisar nisar chhalakte jam hain huren hain bagh-e-jannat hai uda rahe hain maze kya tah-e-mazar nisar dam-e-akhir kuchh is tarah pher lin aankhen na the zamane mein goya kisi ke yar nisar rawa-rawi mein utare na aks bhi utra hawa ke ghode par aae the kya sawar nisar ye us ki shan-e-karimi nisar ko bakhsha hazar bar fida hain hazar bar nisar bichhadne walo kabhi tum na chhodna daman chale hain lutne firdaus ki bahaar nisar abhi ye phut ke roe na lun jo zabt se kaam bhari hai mujh se bahut chashm-e-ashk-e-bar nisar 'riyaz' fatiha padhne na tum gae ab tak tumhaare waste hain mahw-e-intizar nisar