tham gaya dard ujala hua tanhai mein barq chamki hai kahin raat ki gahrai mein bagh ka bagh lahu rang hua jata hai waqt masruf hai kaisi chaman-arai mein shahr viran hue bahr bayaban hue khak udti hai dar o dasht ki pahnai mein ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana aur phir umr guzar jati hai yakjai mein us tamashe mein nahin dekhne wala koi is tamashe ko jo barpa hai tamashai mein