khuda karim hai itna karam hi farmae main us ko bhulna chahun wo mujh ko yaad aae faza mein nur hawaon mein us ki khushbu hai thahar ai waqt ki jaan-e-bahaar aa jae wafa khulus-o-mohabbat ki ye amanat hai gham-e-hayat ki surkhi jabin pe lahrae tumhaari chah tarab-khez wadiyon ka safar hamare sath hain mahrumiyon ke sarmae gira ke barq jalaya hai aashiyan dil ka tere labon pe tabassum kuchh aise lahrae kahan misal hai raushan jamal ki 'nashtar' badan ko chhu ke jise chandni bhi sharmae