soz-e-gham se jal raha hun dekhta koi nahin

soz-e-gham se jal raha hun dekhta koi nahin
kya buton ka shahr hai gham-ashna koi nahin

kis ke aage sar jhukaun dewta koi nahin
pattharon ke shahr mein mera khuda koi nahin

zulm-o-istibdad ka ek silsila hai us ke sath
ye samajhta hai wo shayad ki khuda koi nahin

tere dar se uth ke jaen to kidhar jaen bata
jis taraf bhi dekhte hain rasta koi nahin

duriyan hotin dilon mein to mita lete unhen
kis liye badh kar milen ki fasla koi nahin

husn hai maghrur par apni ana ko kya hua
kis ko itna waqt hai ye sochta koi nahin

zakhm-ha-e-dil dikha kar kya mila 'naghmi' use
jis nazar mein qimat-e-jins-e-wafa koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close