khuda ke ghar mein khuda ke siwa na tha kuchh bhi meri dua ke liye rasta na tha kuchh bhi mere khilaf zamane ko wo na kar paya meri burai mein shayad bura na tha kuchh bhi mila tha wo mujhe kal shab bahut hi ujlat mein main sochta hun mujhe sochna na tha kuchh bhi tamam umr main karta raha teri taqlid yahi khata hai ki main jaanta na tha kuchh bhi wo aise waqt mera sath dene aaya tha wo jab kisi bhi tarah kaam ka na tha kuchh bhi na kuchh rahega mere baad us jagah 'kishwar ki mujh se pahle kabhi us jagah na tha kuchh bhi