main jahan hun wahin hai ghar mera kitna aasan hai safar mera phal lage dost ban gae dushman mera dushman bana shajar mera tum ko patthar mein dhaal sakta hun tum ne dekha nahin hunar mera mera rahzan tha mera qatil tha mera ham-saya ham-safar mera shish-mahlon mein zalzale aae aur salamat hai khasta ghar mera main hun khana-ba-dosh ai 'kishwar ye taaruf hai mukhtasar mera