khuda ke nam se aaghaz har ek kaam karte hain munawwar is tarah hum apni subh-o-sham karte hain musalsal aandhiyon mein jo jalate hain charagh apna wahi be-shak jahan mein apna raushan nam karte hain unhin bachchon ko ladna hai sitam ki dhup se ek din abhi jo mamta ki chhanw mein aaram karte hain adawat ke sulagte manzaron ke darmiyan rah kar mohabbat ke hasin jazbaat ko hum aam karte hain jo khud ko bech dete hain bikau mal ki surat wahi apne qalam ki aabru nilam karte hain gharon mein aag nafrat ki laga kar wo 'said' aksar hamari zat hi ko morid-e-ilzam karte hain