meri fariyaad ke shoalon ko inayat samjho mere har zakhm ko ulfat ki riwayat samjho ek majbur-e-tamanna ki giran-bar thakan main ne kab tum se kaha ye ise ulfat samjho lazzat-e-gham mein nahin khun-e-tamanna ka ilaj meri har tis ko khamosh baghawat samjho ye giran-bari-e-ehsas meri mashal hai meri fariyaad ko tum ek hidayat samjho ek mujrim hai jise kahte hain insan ka dil is nadamat ko meri ek shikayat samjho