khuda ke waste ab be-rukhi se kaam na le tadap ke phir koi daman ko tere tham na le bas ek sajda-e-shukrana pa-e-saqi par ye mai-kada hai yahan par khuda ka nam na le wafa to kaisi jafa bhi nahin hai ab hum par ab itna sakht mohabbat se intiqam na le zamane bhar mein hain charche meri tabahi ke main dar raha hun kahin koi tera nam na le mita do shauq se mujh ko magar kahin tum se zamana meri tabahi ka intiqam na le main jaanun jab ki bujha de tu tishnagi dil ki wagarna aaj se dariya dili ka nam na le nahin wo husn jo aashiq ko shad-kaam kare nahin wo ishq jo nakaamiyon se kaam na le rakhun umid-e-karam us se ab main kya 'sahir' ki jab nazar se bhi zalim mera salam na le