ayan ho rang mein aur misl-e-bu gul mein nihan bhi ho jahan-e-jaan hue gul-pairahan jaan-e-jahan bhi ho makin kaunain mein ho fil-haqiqat la-makan bhi ho azal se ta-abad qaem ayan bhi ho nihan bhi ho par-e-parwaz-e-anqa laenge gar la-makan bhi ho tumhein hum dhundh laenge kahin bhi ho jahan bhi ho kahan hain hazrat-e-isa kahan hain hazrat-e-musa ayan eajaz mein ho aur tajalli mein nihan bhi ho ghashi ho aur ghashi mein hosh bhi kuchh kuchh rahe baqi wo husn-e-la-yazali kuchh ayan bhi kuchh nihan bhi ho jalana marna eajaz hai us chashm-e-pur-fan ka hayat-e-jawidan ho aur marg-e-na-gahan bhi ho jo aankhen hon to husn-o-ishq ki surat nazar aae ayan ho rang-e-gul mein saut-e-bulbul mein nihan bhi ho yahan dair-o-haram mein ho wahan mai-khane mein 'sahir' barahman ho janab-e-shaikh ho pir-e-mughan bhi ho