khuda khamosh bande bolte hain bade chup hon to bachche bolte hain suno sargoshiyan kuchh kah rahi hain zaban-bandi mein aise bolte hain mohabbat kaise chhat par jae chhup kar qadam rakhte hi zine bolte hain nashe mein jhumne lagte hain mani to lafzon mein karishme bolte hain ye hum zindon se mumkin hi nahin hai jo kuchh murdon se murde bolte hain hum insanon ko aata hai bas ek shor tarannum mein parinde bolte hain khamoshi sunti hai jab apni aawaz to sinon mein dafine bolte hain main paighambar nahin hun phir bhi mujh mein kai gum-sum sahife bolte hain yahi hai waqt bolo 'farhat-ehsas' ki har jaanib kamine bolte hain