purane doston se ab murawwat chhod di hum ne muazzaz ho gae hum bhi sharafat chhod di hum ne mayassar aa chuki hai sar-bulandi mud ke kyun dekhen imamat mil gai hum ko to ummat chhod di hum ne kise malum kya hoga maal aainda naslon ka jawan ho kar buzurgon ki riwayat chhod di hum ne ye mulk apna hai aur is mulk ki sarkar apni hai mili hai naukri jab se baghawat chhod di hum ne hai utna waqia us se na milne ki qasam kha li tassuf is qadar goya wazarat chhod di hum ne karen kya ye bala apne liye khud muntakhab ki hai gila baqi raha lekin shikayat chhod di hum ne sitare is qadar dekhe ki aankhen bujh gain apni mohabbat is qadar kar li mohabbat chhod di hum ne jo socha hai azizon ki samajh mein aa nahin sakta shararat ab ke ye ki hai shararat chhod di hum ne ulajh padte agar to hum mein tum mein farq kya rahta yahi diwar baqi thi salamat chhod di hum ne gunahgaron mein shamil muddai bhi aur mulzim bhi tera insaf dekha aur adalat chhod di hum ne