khuda ki zat ne jab dard ka nuzul kiya mere siwa na kisi aur ne qubul kiya agarche ek qabile ke fard hain donon tujhe gulab banaya mujhe babul kiya kabhi ye gham ki adhura raha hamara kaam kabhi ye soch ki jitna kiya fuzul kiya hawa ne gard udai hai barha meri palat palat ke zamin ne mujhe qubul kiya har ek zakhm ko bakhshi gulab ki surat badan ki sej pe kanton ko hum ne phul kiya suna rahe hain shajar rukhsat-e-bahaar ka sog samar to kya koi patta nahin qubul kiya kisi ko khad se ziyaada na mohtasib jaana faqat zamir ki aawaz ko usul kiya