rang aur rup mein sone se khari hoti hai dil ki wo rag jo mohabbat se bhari hoti hai aashiyane ko panapne nahin deti duniya barq gir padti hai jab shakh hari hoti hai jhenp jata hai chatakti hui kaliyon ka shabab mast aankhon mein agar nind bhari hoti hai ashk barsati hui aati hai gulshan mein bahaar phul khilte hain to shabnam ki tari hoti hai arsh-o-kursi-o-falak dair-o-haram kaba-e-dil phir bhi mahdud teri jalwagari hoti hai kahkashan dekhti hai us ki tajalli ka nikhaar jis ki angdai mein jadu-asari hoti hai din ko gar dhup ki chadar mein sukun milta hai raat ab khatm charagh-e-sahari hoti hai yaad aa jati hai khud apni nikharti tauba jam mein jab mai-e-khush-rang bhari hoti hai chahe lafzon mein kahe chahe ishaaron se kahe 'fazl' jo baat bhi kahta hai khari hoti hai