KHuda ne jab mujh bashar ko apna KHalaf banaya sawal ye hai

khuda ne jab mujh bashar ko apna khalaf banaya sawal ye hai
to main ne kyon aasman sar par nahin uthaya sawal ye hai

hudud tode baghair duniya mein koi naghma amar nahin hai
mere mughanni ne aathwan sur kahan lagaya sawal ye hai

kate phate hum to yunhi zagh-o-zaghan ke dar par pade hue hain
hamare lashon ko panditon ne nahin jalaya sawal ye hai

wara-e-insan kahin to zulmat ka koi gath-jod hai khuda se
qarib rahta hai is qadar raushni ke saya sawal ye hai

kahan hai wo saltanat wo duniya jahan pe teri hukumaten hain
kahin to hogi teri khudai mere khudaya sawal ye hai

sawal ye to nahin jo tu ne kaha ki ab hum nahin milenge
sawal ye hai ki kyon tujhe ye khayal aaya sawal ye hai

jo aatish-e-rukh se gulsitan ko gulab ho kar jala raha hai
hazar hairat hai tu ne ye kaisa gul khilaya sawal ye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close