main apne ishq mein paiham zawal dekhta hun

main apne ishq mein paiham zawal dekhta hun
jo tere chahne walon ka haal dekhta hun

main is liye bhi nahin dekhta hun aaina
wahan jo chehra hai us par jalal dekhta hun

badal gai hai samaat meri basarat se
main khwab sunta hun lekin khayal dekhta hun

kaha hai tu ne ki teri misal koi nahin
magar main nur mein teri misal dekhta hun

main chahta hun ki khud khak par utar aaun
jab aasman se zamin ka jamal dekhta hun

hazar waswase dil mein ubharne lagte hain jab
kisi gharib ke shane pe shawl dekhta hun

main hont dekhta hun phul dekhne ke baad
to tere dast-e-hunar ka kamal dekhta hun

phir us ke baad koi baat kar nahin pata
jab us faqir ki aankhon ko lal dekhta hun

ba-sad-khulus nasihat ko sunta rahta hun
phir apne hath se main apna gal dekhta hun

jo dard sahte hain lekin khamosh rahte hain
ab aise log bade khal-khal dekhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close