KHuda ne jin ke maani nahin batae hain

khuda ne jin ke maani nahin batae hain
wo harf zehn mein apni jagah banae hain

sitare shams-o-qamar aankh raushni rasta
hum aisi neamaten pa ke bhi ladkhadae hain

kise khariden kise chhod den ye mushkil hai
hamare khwab har ek shai mein jhilmilae hain

kabhi-kabhaar agar main zaban pe aaya hai
hum apni zat se kis darja khauf khae hain

jo apne aap pe qabu kabhi na rakh pae
ab un ke hath mein sab ikhtiyar aae hain

har ek jins se rakhta hai rabta apna
bashar ne apne kai silsile banae hain

jab ek maun dilon mein utar gaya 'paras'
to hum ne rab ki ibaadat mein sar jhukae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close