haq pe chalunga aur sada masti mein rahunga ai zindagi main jama-e-hasti mein rahunga sahra pahad dasht-o-samundar mein raha hun sahab junun hun kis tarah basti mein rahunga apni nazar se tu ne mujhe kyon gira diya lagta hai baqi umr main pasti mein rahunga aankhon mein aankhen dal ke baaten bhi karunga jab tak ki teri husn-parasti mein rahunga